Naath ~ Moulana Naeem Motala Saheb DB

Teri har ada hai pyaari …

Listen Here

Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari

Teri zulfe ambari per ~ ho nisaar bekarari
Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari
Tere dar ki khaak roobi ~ se mili humein musarat


Tere har zaman zameen mein ~ hai ghulab jaisi nighat


Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari

Tere zulfe am bareepur ~ hoh nie sahre beh karaari
Tu hidayaton ka pekar, 

Tu hai rehmat-e-mujassam
Tu hai zindagi ka rehbar,

Tu dukhey dilon ka marham

Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari
Tere dar ki khaak roobi ~ se mili humein musarat
Tere har zaman zameen mein ~ hai ghulab jaisi nighat

Shab o roz yeh dua hai koi reh na jaey nari
Shab o roz yeh dua hai koi reh na jaey nari 
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Tu sakhawaton ka markaz ~ tu hai ambiya ka khatim
Tu sharafaton ka ma’dan ~ ho durood tujhpe har dam
Teri zaat unchi phir bhi Teri shaan inke saari

Teri har ada hai pyaari ~Teri shaan khaak sari
Zara dekh lo Madina yahan rehmaton ke badal
Zara dekh lo Madina yahan rehmaton ke badal
yeh tilawaton ki mehfil ~ yeh ibadaton ki manzil
Koi ro raha hai pyara ~ hai durood lab pe jaari
Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari
Koi ro raha hai pyara ~ hai durood lab pe jaari

Isseh ummati Nabi koh ~ kahi latgayi hai nazareh
Joh tee ekkeh larr rahi hai ~ yahi areh hie hai khabareh
kabi ek ai pitta rahaa hai ~ kabi doosereh kie baari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari

Tera naam hai Muhammad (Sallalahu alaihi wa sallam) teri midhatein mera fann
ho nisar tujhe pe Aqa meri sha’iri ki dharkan
hai Raza ki bas tamana tere deen pe jaan nisari
Teri har ada hai pyaari~ Teri shaan khaak sari
Hai rizaakeh basse tumunna ~ Tere deepair jaah nisaani
Teri har ada hai pyaari ~ Teri shaan khaak sari
Teri zulf ambari per ~ ho nisaar bekarari

Naath ~ Aap Ka Martaba ~ Moulana Naeem Motala Saheb DB

Aap Ka Martaba 

DOWNLOAD HERE

~ Aap ka martaba is jahaan mein
Jaise khursheed ho aasmaan mein

~ Dosto yeh hai shehr-e-madina
Jis se islam phaila jahaan mein

~ Gar na salli ala ho zubaan par
Kya asr hoga aah-o-fagaan mein

~ Wa raf’ana ka inaam yeh hai
Aap ka zikr hai do jahaan mein

~ Shart tauheed kaamil yahi hai
Ishq ho aapka qalb-o-jaan mein

~ Koi samjhega kya; ghair-mumkin
Aap ka rutba dono jahaan mein

~ Sabz gumbad pe jiss ki nazar ho
Woh bhala jaye kis gulsitaan mein

~ Naam kaisa hai pyara Mohammed*
Jin ke sadqe may eimaan hai jaan mein

~ Yeh hai faizaan-e-noor-e-nabuwat
Jo hai islam saare jahaan mein

~ Kya kahon rafífat-e-shaan-e-gumbad 
Kuch nahi dum hai akhtar zubaan mein.

*Sallalahu alaihi wa sallam