Naath ~ Aap Ka Martaba ~ Moulana Naeem Motala Saheb DB

Aap Ka Martaba 

DOWNLOAD HERE

~ Aap ka martaba is jahaan mein
Jaise khursheed ho aasmaan mein

~ Dosto yeh hai shehr-e-madina
Jis se islam phaila jahaan mein

~ Gar na salli ala ho zubaan par
Kya asr hoga aah-o-fagaan mein

~ Wa raf’ana ka inaam yeh hai
Aap ka zikr hai do jahaan mein

~ Shart tauheed kaamil yahi hai
Ishq ho aapka qalb-o-jaan mein

~ Koi samjhega kya; ghair-mumkin
Aap ka rutba dono jahaan mein

~ Sabz gumbad pe jiss ki nazar ho
Woh bhala jaye kis gulsitaan mein

~ Naam kaisa hai pyara Mohammed*
Jin ke sadqe may eimaan hai jaan mein

~ Yeh hai faizaan-e-noor-e-nabuwat
Jo hai islam saare jahaan mein

~ Kya kahon rafífat-e-shaan-e-gumbad 
Kuch nahi dum hai akhtar zubaan mein.

*Sallalahu alaihi wa sallam